Apne Android Phone Ko secure And Protect Kis Tarah kare Jisse Aapka Phone Hack Na Ho

Posted by SUNNY JAAN :




Aaj ka ye post mer khayal se sabhi android users ko padhna chahiye jinhe darr rehta hai ki koi unka phone hack karne ki kosis to nhi kar raha hai.To aaj main aapko aapke android mobile fully secure karne ke liye kuchh important baate bataunga.Aaj kal jyadatar log chahte hai ki kaas mujhe iski information mil jaye phone se yeho jaye wo ho jaye.To aise me aapko un logo se savdhan rehne ki jarurat hai lekin aise aap kis kis se careful rahoge ,aapko pata hai aapki ek chhoti si galti aapko bahut nuksan pahucha sakti hai future me.Agar aap apna phone hi secure kar lete hai to aapko kisi bhi type ke attack se darne ki jarurat nhi padegi,Apko bata du android duniya me sabse jyada use kiye jane bala plateform hai jo google company ka hai.To ab aap sochiye ki jisko billions log use karte hai to usme tarah tarah ki vulnarablity bhi hoti hai jinki wajah se humara phone hack ho sakta hai.Haalanki hume un developers ko thanks kehna chahiye jo tarah tarah ke bugs ka pata laga kar android phone ki security badhane me madadgaar saavit hote hai.


To chaliye dekhte hai ki aapko apne apne phone ke sath kya kya karna chahiye taaki aap usko sabhi bekar logo se secure kar sake.

1.Sirf aur sirf trusted apps hi download kare

Aap itna to jante hi honge ki bahut se aise bade bade hacker hote hai jo kab kya kar de kisi ko idea nhi hota hai,lekin kuchh apne haath me bhi hota hai .Baise jyadatar hacker injecting formula apnate hai,iska matlab hota hai ki jab hum koi cheej download karte hai ab bo chahe android application ho ya fir video,mp3,games,software ho haker simply ek malware in files ke andar inject kar dete hai taaki jab bhi koi in files ko download karega to ye malware bhi sath sath phone me install ho jayenge.To aise me ap apne aapko secure kaise kare ye saval apne aap me bahut bad hai,aapki jara si bebkoofi aapke phone ko hack karwa sakte hai.Lekin haa kisi bhi hacker ke itna asan nhi hai android ko hack karna kyonki ise google operate karta hai .So aapko sirf kitna karna hai ki kisi bhi untrustedsute se koi bhi data download nhi karna chahiye .Aap pehle us site ki popularity check karke hi koi cheej download kare agar aapke mobile me koi bahut h serious data hai to .Aapko koi android app download karna hai to janha tak kosis ho sake usko android google play store se hi download kare to jyada achha hoga .Baise aur bhi trusted siye hai janha se aap app download kar sakte hai jaise 9apps,brothersoft ,android xda forum etc.Aapko main yahi suggest karunga ki jab bhi koi application download karna to usko install karte samay uska certificate jarur dekhe,aur ye bhi check kare ki wo app install hone ke baad aapki kaun kaun si file ko access karega.Janha tak kosis kar sako to 3rd party software ko install hone par proetection hi laga do ,aap ye kariye sabse pehleSettings>>>Security >>iske baad unchecking the "Unknown Sources" option.
Note:Even google play store bhi puri puri gauranty nhi leta hai ki us par dale sabhi app safe hai ya nhi.

2.humesa strong  PIN or password use karna

ji haa dosto aap jo password lagate hai jaruri nhi hai ki secure ho,aisa bhi ho sakta hai ki aapka password simple ho jisko asani se social engineering bala funda apply karke aapke password ko pata kiya ja sakta ho.Aapko bata du ki bahut se tarike hote hai kisi bhi type ke password ko todne ke aur wo 100% work bhi karte hai isme koi doubt nhi hai .Agar aapne jara si bhi savdhani nhi barti to aapka phone dusre hatho ke control me ja sakta hai fir aap kuchh bhi nhi kar paoge.Ab aap soch rahe honge ki agar itna simple hota password break karna to aaj tak koi safe hi nhi rehta,to aapko bata du aap abhi hacking ki duniya se anjaan ho ,haa ye baat sahi se ki aapka password sirf 2 minuts me toot sakta hai agar aapka password simple hua to .Ab aapko isse kaise secure hona ye dekhiye.Aapko pehle ek example deta hoon maan lo aapka password hai 12345 ya yourname ,in dono password ko todne me dosto hacker ko ek minute bhi nhi lagega bo turant bruitforce attack ka istemaal karke phone ko tod dega.Agar aapka passoword is type ka ho 12$2aBd=c# to aap ye samjhiye ki koi bhi hacker apni jaan bhi de dega tab bhi is type ke code ko crack nhi kar payega,aur agar wo try bhi karega todne ke liye to use lagbhga jyada nhi 200 years to lag hi jayenge.To ab aap samjh gaye honge ki aapko apne password me kaise kaise character karna chahiye,Humesa apnee password me spacial  character like @,#,$,!,% ka use jarur karna.
 Note: aapk behtar security ke liye bata su ki aap apne phone me automatically time set karke rakha kariye jaise 5 minutes ya for 3 minutes jisse agar kaise bhi aapka phone kisi ke hath me khula hua pahuch bhi jaye to fir se seted time par lock ho jaye.

3.Apne phone ko humesa apne pas rakho kisi aur ko na de

Ye apne phone ko secure rakhne ka sabse effective tarika hai,kyonki ye hum sab jante hai android device ko remotly hack kar pana impossible hai ,isiliye hackers aapke phone ko access karne ke peeche pade rehte hai,agar aapka koi insaan nuksan pahuchana chata ho aur kisi bhi tarah aapka mobile sirf 1 minut ke liye bhi uske hath me pahuch jaye to aapke phone ke hack hone ke chance 100% hai.Aap agar jante ho ho naam suna hoga spy softwares ka jinhe hum kabhi kabhi keylogger bhi sakte hai in certain condition.Kya aap jante hai ki hacker ke liye 1 minute hi kafi hai aapke phone me spyware or keylogger install karne ke liye,even aap bhi aisa kar skate ho sirf 1 minute me to socho bo hacker to aapse jyada mind rakhte hi honge to unke liye aapka phone hack karna mamooli baat hai ,wo chukiyo me aapke phone ki dhajjiya uda sakte hai.To aise me baat aati hai ki isse khud ko secure kaise kare to main to apse yahi kahunga ki kisi ajnabi ya dusman ke hatho me apna phone nhi padne dena yahi aapke liye achha hoga.

4.use  free security apps for preventing your data

Janha par black hat hacker ki baat ati hai to wanha par hume jarurat padti hai white hat hacker ki.Blackhat hacker jab humare phone ko destroy karne ke liye tarah tarah ke program likh sakte hai,to kya humare security researcher hath pe hath dhare baithe thode hi rehte hai,wo unke mansoobo ko kabhi kamyab nhi hone de sakte ,isiliye time time par security me aaye bugs ko sudhar kar us par security ki layer chadha dete hai aur humare liye tarah tarah ke ache security software bhi banate hai jo hume blackhat hackers ke against ladne ki takat dete hai.Main aapko salah dunga ki apne phone me my sponsor Webroot  ka use kare aur isko apne phone me humesa install kiye rahe ,ye tool aapke phone ko secure karne ke sath sath aapke phone me install sabhi application,and data ko sacn karta hai aur ye find out karne ki kosis karta hau ki kanhi apki files me koi malware ya koi malicious code to nhi hai jo aapke phone ko nuksan pahuchane ke liye kisi hacker ne inject kar diya ho  ,aur jaise hi agar usko koi aisi file milti bhi hai to wo turant aapko indicate bhi kar deta hai jissse aap time to time action bhi le sakte hai ,aur tension lene ki baat bhi nhi hai kyonki ye app bilkul free me available hai.is tool ki ek khasiyat aur hai ki ye phishing scam ko bhi rokne me helpful hai.Aur free me google play store me bhi available hai.Aur ek security application hai jo hume play store par mil jayega jiska naam hai avg  security  ,iska kaam bhi ek dam streight forward hai ,iss app ko lagbhag   100,000,000  users  download kar chuke hai pichhle dino me.

5.Jab kisi ko phone bencho (sell) to usko completly wipe/delete kar dena

Ye humare samjh se sabse badi galti hai jo hum normal insaan kar dete hai ,jo hume baad me bahut rulati hai.Kabhi bhi apne phone ko bechte samay laparwahi nhi bartni chahiye.Ab aap soch rahe honge ki hum to phone ko formate kar denge tab denge isme kya badi baat hai,To dosto aaapko bata du ki hum log jab kisi phone ko format marte hai to bo sirf narmaly format hota hai naa ki completly format hota hai.Koi bhi telanted insaan aapki sari information ko fir se recover kar lega aur bhi bahut aasani se ,aur aap isi me rahenge ki aapne to aapka phone ka data delete kar diye tha.Aapko bata du dosto bahut se aise software hai jo delete hui file ko badi hi asan tarike se recover kar dete hai ,kuch software jinke naam hai recuva,Pandora Recovery,TOKIWA Data Recovery etc jo badi hi simple way me data ko bapas lane me helpful hote hai,so be careful dosto .Hackers and other criminals badi asani se aapke data ko recover kar lenge ,So main aapko salah dunga ki kabhi bhi jab apna phone bencho to usko completly wipe kar dena .Agar aap nhi jante kaise completly wipe kiya jata hai to aap comment ke through mujhse pucchh sakte hai.

Agar aapko mera ye security  post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek security tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.

1 comments :

Write comments
16 May 2020 at 09:20 delete

If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest

Email: cybergoldenhacker at gmail dot com

Reply
avatar